Friday, July 28, 2006

Sach

Sanskrit ke adhyapak Raam ki do betiyan hai :Imaandari aur sanskriti.
Jitna vetan milta hai usme Raam ka gujara bhi nahi chalta.
Jo baap ka haal wohi betiyon ka.Na tan pe pure kapde aur na pet pura bhara.
Jaise taise gujaara chalta hai.
Imaandari Hindi me MA hai aur sanskriti grahshastra me BA.
Dono ki roji roti ka bhi koi thikana nahi.MNC ke jamaane me bhala Hindi aur grahshastra ko kaun poochta hai.
Raam ko keval ye hi chinta hai ki jawaan betiyon ka vivaah kaise hoga.Wo sheher ke sabhi jawaan ladko ka rishta dekh chuka hai.
Per gareeb brahman ki kya pooch.
Le dekar Dharm aur rajniti ke beton: Brachtachar aur Aatank ka hi rishta bachta hai.
Use yahi chinta sataati hai, ke yeh bemail rishta kya safal hoga.
Use pata hai ke Brachtachar aur Aatank se vivaah kar Imaandari aur sanskriti ka astitva hi khatam ho jayega.Per wo kare to kya kare.....

Use aaj bhi yahi lagta hai ki Kunwarepan se wajood jyada mehtavapoorna hai.
Shayad isliye wo ek gareeb bhasha ka gareeb master hai.Aur uski betiyan abhi tak kunwaari.

No comments: